rishton ko jab dhup dikhai jati hai
rishtoñ ko jab dhuup dikhā.ī jaatī hai
cigarette se cigarette sulgā.ī jaatī hai
jism hamārā ik aisī mil hai jis meñ
añdhiyāroñ se dhuup banā.ī jaatī hai
nā se us kī shakl milāne lagtā huuñ
jab us kī āvāz sunā.ī jaatī hai
kyā vo panne sach-much kore hote haiñ
jin par koī zarb lagā.ī jaatī hai
bulle-bābā dīvānoñ ko samjhāo
apnī hastī kaam meñ laa.ī jaatī hai
apnī miTTī apnā paanī vāpas le
sunte haiñ ye shai lauTā.ī jaatī hai
patthar le kar aate haiñ sab siine meñ
bhaag jage to Thokar khaa.ī jaatī hai
ḳhāmoshī se yakjā karte haiñ ḳhud ko
shor machā kar aag bujhā.ī jaatī hai
hote hote raushan hotā hai chehra
jaate jaate dil se kaa.ī jaatī hai
donoñ bhavoñ kī shikneñ haath baTātī haiñ
apnī tīsrī aañkh banā.ī jaatī hai
rishton ko jab dhup dikhai jati hai
cigarette se cigarette sulgai jati hai
jism hamara ek aisi mil hai jis mein
andhiyaron se dhup banai jati hai
na se us ki shakl milane lagta hun
jab us ki aawaz sunai jati hai
kya wo panne sach-much kore hote hain
jin par koi zarb lagai jati hai
bulle-baba diwanon ko samjhao
apni hasti kaam mein lai jati hai
apni miTTi apna pani wapas le
sunte hain ye shai lauTai jati hai
patthar le kar aate hain sab sine mein
bhag jage to Thokar khai jati hai
KHamoshi se yakja karte hain KHud ko
shor macha kar aag bujhai jati hai
hote hote raushan hota hai chehra
jate jate dil se kai jati hai
donon bhawon ki shiknen hath baTati hain
apni tisri aankh banai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.