roz-e-azal se jari sazaon ka silsila
roz-e-azal se jaarī sazāoñ kā silsila
phir bhī thamā nahīñ hai ḳhatāoñ kā silsila
qaa.em hai ab bhī merī vafāoñ kā silsila
ik silsila hai un kī jafāoñ kā silsila
ab ashk-bār hote nahīñ haiñ duāoñ meñ
nākām yuuñ huā hai duāoñ kā silsila
paañv tale zamīñ na milā āsmāñ koī
merā safar hai jaise ḳhalāoñ kā silsila
āzād ho chukī huuñ har ik silsile se maiñ
le jaa.e ab kahīñ bhī havāoñ kā silsila
ḳhud sāḳhta ḳhudāoñ ne jiinā kiyā muhāl
rab jaane kab rukegā ḳhudāoñ kā silsila
muflis kī zindagī to hai muflis kī zindagī
ḳhāmosh an-kahī sī sadāoñ kā silsila
roz-e-azal se jari sazaon ka silsila
phir bhi thama nahin hai KHataon ka silsila
qaem hai ab bhi meri wafaon ka silsila
ek silsila hai un ki jafaon ka silsila
ab ashk-bar hote nahin hain duaon mein
nakaam yun hua hai duaon ka silsila
panw tale zamin na mila aasman koi
mera safar hai jaise KHalaon ka silsila
aazad ho chuki hun har ek silsile se main
le jae ab kahin bhi hawaon ka silsila
KHud saKHta KHudaon ne jina kiya muhaal
rab jaane kab rukega KHudaon ka silsila
muflis ki zindagi to hai muflis ki zindagi
KHamosh an-kahi si sadaon ka silsila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.