roz wahshat koi nai mere dost
roz vahshat koī na.ī mire dost
is ko kahte haiñ zindagī mire dost
alam ehsās āgahī mire dost
saarī bāteñ haiñ kāġhzī mire dost
dekh iz.hāriye badal ga.e haiñ
ye hai ikkīsvīñ sadī mire dost
kyā charāġhoñ kā tazkira karnā
raushnī ghuT ke mar ga.ī mire dost
haañ kisī alamiye se kam kahāñ hai
mirī hālat tirī hañsī mire dost
saath dene kī baat saare kareñ
aur nibhā.e koī koī mire dost
itnī galiyāñ ug aa.iiñ bastī meñ
bhuul baiThā tirī galī mire dost
lāzmī hai ḳhirad kī bedārī
niiñd lekin kabhī kabhī mire dost
roz wahshat koi nai mere dost
is ko kahte hain zindagi mere dost
alam ehsas aagahi mere dost
sari baaten hain kaghzi mere dost
dekh izhaariye badal gae hain
ye hai ikkiswin sadi mere dost
kya charaghon ka tazkira karna
raushni ghuT ke mar gai mere dost
han kisi alamiye se kam kahan hai
meri haalat teri hansi mere dost
sath dene ki baat sare karen
aur nibhae koi koi mere dost
itni galiyan ug aain basti mein
bhul baiTha teri gali mere dost
lazmi hai KHirad ki bedari
nind lekin kabhi kabhi mere dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.