samne hai jo use log bura kahte hain
sāmne hai jo use log burā kahte haiñ
jis ko dekhā hī nahīñ us ko ḳhudā kahte haiñ
zindagī ko bhī sila kahte haiñ kahne vaale
jiine vaale to gunāhoñ kī sazā kahte haiñ
fāsle umr ke kuchh aur baḌhā detī hai
jaane kyuuñ log use phir bhī davā kahte haiñ
chand ma.asūm se pattoñ kā lahū hai 'fākir'
jis ko mahbūb kī hāthoñ kī hinā kahte haiñ
samne hai jo use log bura kahte hain
jis ko dekha hi nahin us ko KHuda kahte hain
zindagi ko bhi sila kahte hain kahne wale
jine wale to gunahon ki saza kahte hain
fasle umr ke kuchh aur baDha deti hai
jaane kyun log use phir bhi dawa kahte hain
chand masum se patton ka lahu hai 'fakir'
jis ko mahbub ki hathon ki hina kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.