sanson mein shahr-bhar ki utar jaana chahiye
sāñsoñ meñ shahr-bhar kī utar jaanā chāhiye
ḳhushbū ho tum to tum ko bikhar jaanā chāhiye
karnā hai aap ko jo na.e rāstoñ kī khoj
sab jis taraf na jaa.eñ udhar jaanā chāhiye
us bevafā pe marne ko āmāda dil nahīñ
lekin vafā kī zid hai ki mar jaanā chāhiye
dīvār ban ke vaqt agar rāsta na de
jhoñkā havā kā ban ke guzar jaanā chāhiye
un ke sivā.e jin pe tabāhī guzar ga.ī
har shaḳhs kah rahā hai ki har jaanā chāhiye
yuuñ aah bhar ki us kā taġhāful laraz uThe
tū ḳhaak ho gayā ye ḳhabar jaanā chāhiye
aglī safoñ meñ ham hī raheñ kyuuñ sadā 'anīs'
ab ma.arke meñ us kā bhī sar jaanā chāhiye
sanson mein shahr-bhar ki utar jaana chahiye
KHushbu ho tum to tum ko bikhar jaana chahiye
karna hai aap ko jo nae raston ki khoj
sab jis taraf na jaen udhar jaana chahiye
us bewafa pe marne ko aamada dil nahin
lekin wafa ki zid hai ki mar jaana chahiye
diwar ban ke waqt agar rasta na de
jhonka hawa ka ban ke guzar jaana chahiye
un ke siwae jin pe tabahi guzar gai
har shaKHs kah raha hai ki har jaana chahiye
yun aah bhar ki us ka taghaful laraz uThe
tu KHak ho gaya ye KHabar jaana chahiye
agli safon mein hum hi rahen kyun sada 'anis'
ab marke mein us ka bhi sar jaana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.