sath rone na sahi git sunane aate
saath rone na sahī giit sunāne aate
tum musībat meñ mirā haath baTāne aate
umr bhar jaag ke āñkhoñ kī hifāzat kī hai
jaane kab log mire ḳhvāb churāne aate
khīñch laa.ī hai tire dasht kī vahshat varna
kitne dariyā hī mirī pyaas bujhāne aate
saath to ḳhair nibhānā tumheñ aatā hī nahīñ
kam se kam raah meñ dīvār uThāne aate
ḳhauf aatā hai bayābāñ kī taraf jaane se
varna kitne hī mire haath ḳhazāne aate
sath rone na sahi git sunane aate
tum musibat mein mera hath baTane aate
umr bhar jag ke aankhon ki hifazat ki hai
jaane kab log mere KHwab churane aate
khinch lai hai tere dasht ki wahshat warna
kitne dariya hi meri pyas bujhane aate
sath to KHair nibhana tumhein aata hi nahin
kam se kam rah mein diwar uThane aate
KHauf aata hai bayaban ki taraf jaane se
warna kitne hi mere hath KHazane aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.