Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab ko guman bhi ki main aagah-e-raaz tha

Jagat Mohan Lal Ravan

sab ko guman bhi ki main aagah-e-raaz tha

Jagat Mohan Lal Ravan

MORE BYJagat Mohan Lal Ravan

    sab ko gumān bhī ki maiñ āgāh-e-rāz thā

    kis darja kāmyāb fareb-e-majāz thā

    misl-e-mah-e-do-hafta vahī sarfarāz thā

    jis jabīn-e-shauq pe dāġh-e-niyāz thā

    pūchho na hāl-e-kashmakash-e-yās-o-ārzū

    vo bhī ajiib marhala-e-jāñ-gudāz thā

    jab tak haqīqatoñ se mirā dil thā be-ḳhabar

    bechāra mubtalā-e-ġham-e-imtiyāz thā

    jhoñkā havā-e-sarv rindoñ ke vāste

    ḳhum-ḳhāna-e-bahār se hukm-e-javāz thā

    ahl-e-jahāñ ke kufr o tavahhum kyā ilaaj

    ā.īna kah rahā hai ki ā.īna-sāz thā

    muzmir the merī zaat meñ asrār-e-kā.enāt

    maiñ aap raaz aap ḳhud sharah-e-rāz thā

    aa.eñ pasand kyā use duniyā rāhateñ

    jo lazzat-āshnā-e-sitam-hā-e-nāz thā

    ḳhilqat samajh rahī thī jise iztirāb-e-dil

    pinhāñ usī meñ hasti-e-āshiq raaz thā

    achchhā huā hamesha ko chup ho gayā 'ravāñ'

    ik ik nafas ġharīb hastī-gudāz thā

    sab ko guman bhi ki main aagah-e-raaz tha

    kis darja kaamyab fareb-e-majaz tha

    misl-e-mah-e-do-hafta wahi sarfaraaz tha

    jis ki jabin-e-shauq pe dagh-e-niyaz tha

    puchho na haal-e-kashmakash-e-yas-o-arzu

    wo bhi ajib marhala-e-jaan-gudaz tha

    jab tak haqiqaton se mera dil tha be-KHabar

    bechaara mubtala-e-gham-e-imtiyaz tha

    jhonka hawa-e-sarw ka rindon ke waste

    KHum-KHana-e-bahaar se hukm-e-jawaz tha

    ahl-e-jahan ke kufr o tawahhum ka kya ilaj

    aaina kah raha hai ki aaina-saz tha

    muzmir the meri zat mein asrar-e-kaenat

    main aap raaz aap hi KHud sharah-e-raaz tha

    aaen pasand kya use duniya ki rahaten

    jo lazzat-ashna-e-sitam-ha-e-naz tha

    KHilqat samajh rahi thi jise iztirab-e-dil

    pinhan usi mein hasti-e-ashiq ka raaz tha

    achchha hua hamesha ko chup ho gaya 'rawan'

    ek ek nafas gharib ka hasti-gudaz tha

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now