saba banate hain ghuncha-dahan banate hain
sabā banāte haiñ ġhuncha-dahan banāte haiñ
tumhāre vāste kyā kyā suḳhan banāte haiñ
sinān o tiir kī lazzat lahū meñ ram kare hai
ham apne aap ko kis kā hiran banāte haiñ
ye dhaj khilātī hai kyā gul zarā patā to chale
ki ḳhāk-e-pā ko tirī pairahan banāte haiñ
vo gul-izār idhar aa.egā sau dāġhoñ se
ham apne siine ko rashk-e-chaman banāte haiñ
shahīd-e-nāz ġhazab ke hunar-varāñ nikle
lahū ke chhīñToñ se apnā kafan banāte haiñ
tumhārī zaat havāla hai surḳh-rūī kā
tumhāre zikr ko sab shart-e-fan banāte haiñ
saba banate hain ghuncha-dahan banate hain
tumhaare waste kya kya suKHan banate hain
sinan o tir ki lazzat lahu mein ram kare hai
hum apne aap ko kis ka hiran banate hain
ye dhaj khilati hai kya gul zara pata to chale
ki KHak-e-pa ko teri pairahan banate hain
wo gul-izar idhar aaega sau daghon se
hum apne sine ko rashk-e-chaman banate hain
shahid-e-naz ghazab ke hunar-waran nikle
lahu ke chhinTon se apna kafan banate hain
tumhaari zat hawala hai surKH-rui ka
tumhaare zikr ko sab shart-e-fan banate hain
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 24)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.