Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabr-o-zabt ki jaanan dastan to main bhi hun dastan to tum bhi ho

Baqa Baluch

sabr-o-zabt ki jaanan dastan to main bhi hun dastan to tum bhi ho

Baqa Baluch

sabr-o-zabt jānāñ dāstāñ to maiñ bhī huuñ dāstāñ to tum bhī ho

apnī apnī azmat āsmāñ to maiñ bhī huuñ āsmāñ to tum bhī ho

sāhiloñ duurī se sāvanoñ ke mausam meñ kaise Duub sakte the

be-qarār mausam meñ bādbāñ to maiñ bhī huuñ bādbāñ to tum bhī ho

jism apne faanī haiñ jaan apnī faanī hai faanī hai ye duniyā bhī

phir bhī faanī duniyā meñ jāvedāñ to maiñ bhī huuñ jāvedāñ to tum bhī ho

ham ne jo bhī paayā hai ishq ke ḳhazāne se vo hai dafn siine meñ

in dukhoñ jān-e-jāñ pāsbāñ to maiñ bhī huuñ pāsbāñ to tum bhī ho

phir purānī rasmeñ haiñ aur phir vahī duniyā darmiyāñ meñ haa.el hai

vaqt aur samay tarjumāñ to maiñ bhī huuñ tarjumāñ to tum bhī ho

ham bichhaḌ chuke lekin rasm-o-rāh ḳhātir milte rahte haiñ varna

kuchh udaas shāmoñ rāz-dāñ to maiñ bhī huuñ rāz-dāñ to tum bhī ho

ek jaisā dariyā hai ek jaisī maujeñ haiñ ek jaisī tuġhyānī

āb-e-ġham lahroñ ke darmiyāñ to maiñ bhī huuñ darmiyāñ to tum bhī ho

sabr-o-zabt ki jaanan dastan to main bhi hun dastan to tum bhi ho

apni apni azmat ka aasman to main bhi hun aasman to tum bhi ho

sahilon ki duri se sawanon ke mausam mein kaise Dub sakte the

be-qarar mausam mein baadban to main bhi hun baadban to tum bhi ho

jism apne fani hain jaan apni fani hai fani hai ye duniya bhi

phir bhi fani duniya mein jawedan to main bhi hun jawedan to tum bhi ho

hum ne jo bhi paya hai ishq ke KHazane se wo hai dafn sine mein

in dukhon ka jaan-e-jaan pasban to main bhi hun pasban to tum bhi ho

phir purani rasmen hain aur phir wahi duniya darmiyan mein hael hai

waqt aur samay ka tarjuman to main bhi hun tarjuman to tum bhi ho

hum bichhaD chuke lekin rasm-o-rah ki KHatir milte rahte hain warna

kuchh udas shamon ka raaz-dan to main bhi hun raaz-dan to tum bhi ho

ek jaisa dariya hai ek jaisi maujen hain ek jaisi tughyani

aab-e-gham ki lahron ke darmiyan to main bhi hun darmiyan to tum bhi ho

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now