sadaqaton ke payambar gae rasul gae
sadāqatoñ ke payambar ga.e rasūl ga.e
ḳhudī kī hurmat-e-afzal ga.ī usuul ga.e
jo bul-havas the sar-e-ām dandanāte rahe
jo haq-parast the sab phāñsiyoñ pe jhuul ga.e
gilā faqat hai ye zāhid kī pārsā.ī se
zarā sā vaqt paḌā un ke sab usuul ga.e
ḳhizar se ham bhī milā kar qadam chale the magar
masāfatoñ kī tavālat se saañs phuul ga.e
tumhāre jaane se har ik kalī kā rañg uḌā
chaman se fasl-e-bahārāñ ga.ī to phuul ga.e
rah-e-hayāt meñ lākhoñ the ham-safar 'ejāz'
kisī ko yaad rakhā aur kisī ko bhuul ga.e
sadaqaton ke payambar gae rasul gae
KHudi ki hurmat-e-afzal gai usul gae
jo bul-hawas the sar-e-am dandanate rahe
jo haq-parast the sab phansiyon pe jhul gae
gila faqat hai ye zahid ki parsai se
zara sa waqt paDa un ke sab usul gae
KHizar se hum bhi mila kar qadam chale the magar
masafaton ki tawalat se sans phul gae
tumhaare jaane se har ek kali ka rang uDa
chaman se fasl-e-bahaaran gai to phul gae
rah-e-hayat mein lakhon the ham-safar 'ejaz'
kisi ko yaad rakha aur kisi ko bhul gae
- Book : Shora-e-London (Pg. 26)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.