sadiyon ko behaal kiya tha
sadiyoñ ko behāl kiyā thā
ik lamhe ne savāl kiyā thā
miTTī meñ tasvīreñ bhar ke
kūza-gar ne kamāl kiyā thā
bāhar bajtī shahnā.ī ne
andar kitnā niDhāl kiyā thā
jurm faqat itnā thā maiñ ne
ik raste ko bahāl kiyā thā
ḳhushbū jaisī raat ne merā
apne jaisā haal kiyā thā
ek sunahre hijr ne mujh se
kitnā sabz visāl kiyā thā
sadiyon ko behaal kiya tha
ek lamhe ne sawal kiya tha
miTTi mein taswiren bhar ke
kuza-gar ne kamal kiya tha
bahar bajti shahnai ne
andar kitna niDhaal kiya tha
jurm faqat itna tha main ne
ek raste ko bahaal kiya tha
KHushbu jaisi raat ne mera
apne jaisa haal kiya tha
ek sunahre hijr ne mujh se
kitna sabz visal kiya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.