Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar hai zehn ka to koi rahnuma le ja

Alimullah Hali

safar hai zehn ka to koi rahnuma le ja

Alimullah Hali

MORE BYAlimullah Hali

    safar hai zehn to koī rahnumā le

    mirā sukūt na ho to marī sadā le

    har ek samt hai dasht-e-sukūt vus.at

    bachā ke ye ravish-e-arz-e-mudda.ā le

    maiñ zer-e-sañg isī tīrgī meñ lūñgā

    apnī narm shuāoñ qāfila le

    kuchh aur chaaT le sahrā-e-gumrahī namak

    jo aa gayā hai rāhoñ zā.iqa le

    bikhar ke chhūT na jā.ūñ tirī giraft se maiñ

    sambhāl kar mujhe ai mauj-e-ḳhush-adā le

    safar hai zehn ka to koi rahnuma le ja

    mera sukut na ho to mari sada le ja

    har ek samt hai dasht-e-sukut ki wusat

    bacha ke ye rawish-e-arz-e-muddaa le ja

    main zer-e-sang isi tirgi mein ji lunga

    tu apni narm shuaon ka qafila le ja

    kuchh aur chaT le sahra-e-gumrahi ka namak

    jo aa gaya hai tu rahon ka zaiqa le ja

    bikhar ke chhuT na jaun teri giraft se main

    sambhaal kar mujhe ai mauj-e-KHush-ada le ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now