saja saja sa nae mausamon ka chehra hai
sajā sajā sā na.e mausamoñ kā chehra hai
ḳhizāñ kā husn bahāroñ se baḌh ke nikhrā hai
rafāqatoñ ke samundar meñ shahr baste haiñ
har ek shaḳhs mohabbat kā ik jazīra hai
safar nasīb huā jab se shāh-rāhoñ par
to fāsloñ kā bhī ehsās miTtā jaatā hai
hamāre daur kī tārīkiyāñ miTāne ko
sahāb-e-dard se ḳhushiyoñ kā chāñd ubhrā hai
saja saja sa nae mausamon ka chehra hai
KHizan ka husn bahaaron se baDh ke nikhra hai
rafaqaton ke samundar mein shahr baste hain
har ek shaKHs mohabbat ka ek jazira hai
safar nasib hua jab se shah-rahon par
to faslon ka bhi ehsas miTta jata hai
hamare daur ki tarikiyan miTane ko
sahab-e-dard se KHushiyon ka chand ubhra hai
- Book : Samandar Aur Jazeere (Pg. 32)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.