sar par dukh ka taj suhana lagta hai
sar par dukh kā taaj suhānā lagtā hai
merā chehra kyā shāhānā lagtā hai
jab maiñ kachchā phal thā to mahfūz thā maiñ
ab jo pakā to mujh pe nishāna lagtā hai
shahr-e-dil ke ḳhvāb kī kyā ta.abīr karūñ
kabhī nayā ye kabhī purānā lagtā hai
hāthoñ meñ kashkol liye tū de na sadā
bahroñ kā to ye kāshāna lagtā hai
ā.īne meñ dekh ke ye mahsūs huā
terā chehra kyuuñ begāna lagtā hai
sar par dukh ka taj suhana lagta hai
mera chehra kya shahana lagta hai
jab main kachcha phal tha to mahfuz tha main
ab jo paka to mujh pe nishana lagta hai
shahr-e-dil ke KHwab ki kya tabir karun
kabhi naya ye kabhi purana lagta hai
hathon mein kashkol liye tu de na sada
bahron ka to ye kashana lagta hai
aaine mein dekh ke ye mahsus hua
tera chehra kyun begana lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.