shadab-o-shagufta koi gulshan na milega
shādāb-o-shagufta koī gulshan na milegā
dil ḳhushk rahā to kahīñ sāvan na milegā
tum pyaar kī sauġhāt liye ghar se to niklo
raste meñ tumheñ koī bhī dushman na milegā
ab guzrī huī umr ko āvāz na denā
ab dhuul meñ lipTā huā bachpan na milegā
sote haiñ bahut chain se vo jin ke gharoñ meñ
miTTī ke alāva koī bartan na milegā
ab naam nahīñ kaam kā qaa.el hai zamāna
ab naam kisī shaḳhs kā rāvan na milegā
chāho to mirī āñkhoñ ko ā.īna banā lo
dekho tumheñ aisā koī darpan na milegā
shadab-o-shagufta koi gulshan na milega
dil KHushk raha to kahin sawan na milega
tum pyar ki saughat liye ghar se to niklo
raste mein tumhein koi bhi dushman na milega
ab guzri hui umr ko aawaz na dena
ab dhul mein lipTa hua bachpan na milega
sote hain bahut chain se wo jin ke gharon mein
miTTi ke alawa koi bartan na milega
ab nam nahin kaam ka qael hai zamana
ab nam kisi shaKHs ka rawan na milega
chaho to meri aankhon ko aaina bana lo
dekho tumhein aisa koi darpan na milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.