shaKHon par jab patte hilne lagte hain
shāḳhoñ par jab patte hilne lagte haiñ
aañsū mere dil pe girne lagte haiñ
tujh se duurī aur qayāmat lagtī hai
aapas meñ do vaqt jo milne lagte haiñ
din to jaise-taise kaT hī jaatā hai
raat ko uTh uTh taare ginñe lagte haiñ
ek tabassum dekh ke tere hoñToñ par
phuul ḳhizāñ kī rut meñ khilne lagte haiñ
hotā hai shānoñ pe mahsūs us kā haath
mausam jab bhī rañg badalne lagte haiñ
us kī jab ho jaa.e 'nusrat' chashm-e-karam
chaak garebānoñ ke silne lagte haiñ
shaKHon par jab patte hilne lagte hain
aansu mere dil pe girne lagte hain
tujh se duri aur qayamat lagti hai
aapas mein do waqt jo milne lagte hain
din to jaise-taise kaT hi jata hai
raat ko uTh uTh tare ginne lagte hain
ek tabassum dekh ke tere honTon par
phul KHizan ki rut mein khilne lagte hain
hota hai shanon pe mahsus us ka hath
mausam jab bhi rang badalne lagte hain
us ki jab ho jae 'nusrat' chashm-e-karam
chaak garebanon ke silne lagte hain
- Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 108)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.