Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shayad abhi kami si masihaiyon mein hai

Gulnar Aafreen

shayad abhi kami si masihaiyon mein hai

Gulnar Aafreen

MORE BYGulnar Aafreen

    shāyad abhī kamī masīhā.iyoñ meñ hai

    jo dard hai vo ruuh gahrā.iyoñ meñ hai

    jis ko kabhī ḳhayāl paikar na mil sakā

    vo aks mere zehn rānā.iyoñ meñ hai

    kal tak to zindagī thī tamāshā banī huī

    aur aaj zindagī bhī tamāshā.iyoñ meñ hai

    hai kis liye ye vus.at-e-dāmān-e-iltifāt

    dil sukūn to inhī tanhā.iyoñ meñ hai

    ye dasht-e-ārzū hai yahāñ ek ek dil

    tujh ko ḳhabar bhī hai tire saudā.iyoñ meñ hai

    tanhā nahīñ hai ai shab-e-giryāñ diye lau

    yādoñ ek shaam bhī parchhā.iyoñ meñ hai

    'gulnār' maslahat zabāñ meñ na baat kar

    vo zahr ke dekh jo sachchā.iyoñ meñ hai

    shayad abhi kami si masihaiyon mein hai

    jo dard hai wo ruh ki gahraiyon mein hai

    jis ko kabhi KHayal ka paikar na mil saka

    wo aks mere zehn ki ranaiyon mein hai

    kal tak to zindagi thi tamasha bani hui

    aur aaj zindagi bhi tamashaiyon mein hai

    hai kis liye ye wusat-e-daman-e-iltifat

    dil ka sukun to inhi tanhaiyon mein hai

    ye dasht-e-arzu hai yahan ek ek dil

    tujh ko KHabar bhi hai tere saudaiyon mein hai

    tanha nahin hai ai shab-e-giryan diye ki lau

    yaadon ki ek sham bhi parchhaiyon mein hai

    'gulnar' maslahat ki zaban mein na baat kar

    wo zahr pi ke dekh jo sachchaiyon mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now