shab-e-firaq achanak KHayal aaya mujhe
shab-e-firāq achānak ḳhayāl aayā mujhe
ki maiñ charāġh na thā us ne kyuuñ jalāyā mujhe
kahāñ milā maiñ tujhe ye savāl ba.ad kā hai
tū pahle yaad to kar kis jagah gañvāyā mujhe
mujhe shub.h sā huā us kī be-niyāzī se
maiñ ḳhud banā huuñ ḳhudā ne nahīñ banāyā mujhe
milā bhī mujh ko bichhaḌ kar kahīñ chalā bhī gayā
aur apnā naam bhī us ne nahīñ batāyā mujhe
shab-e-firaq achanak KHayal aaya mujhe
ki main charagh na tha us ne kyun jalaya mujhe
kahan mila main tujhe ye sawal baad ka hai
tu pahle yaad to kar kis jagah ganwaya mujhe
mujhe shubh sa hua us ki be-niyazi se
main KHud bana hun KHuda ne nahin banaya mujhe
mila bhi mujh ko bichhaD kar kahin chala bhi gaya
aur apna nam bhi us ne nahin bataya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.