shab-e-hijr mein yaad aana kisi ka
shab-e-hijr meñ yaad aanā kisī kā
satā.e hue ko satānā kisī kā
kabhī pyaar kī bāteñ vo chupke chupke
kabhī naaz se ruuTh jaanā kisī kā
vo bholī adā.eñ na kyuuñ yaad aa.eñ
laḌakpan meñ thā kyā zamāna kisī kā
kabhī thī vo ġhusse kī chitvan qayāmat
kabhī ājizī se manānā kisī kā
vo dil ban ke dām-e-mohabbat meñ aayā
ki zulfoñ meñ thā āshiyānā kisī kā
nazar lag ga.ī mere dushman kī mujh ko
qayāmat huā ruuTh jaanā kisī kā
khilā.egā gul rañg lā.egā ai 'shād'
tujhe dekh kar muskurānā kisī kā
shab-e-hijr mein yaad aana kisi ka
satae hue ko satana kisi ka
kabhi pyar ki baaten wo chupke chupke
kabhi naz se ruTh jaana kisi ka
wo bholi adaen na kyun yaad aaen
laDakpan mein tha kya zamana kisi ka
kabhi thi wo ghusse ki chitwan qayamat
kabhi aajizi se manana kisi ka
wo dil ban ke dam-e-mohabbat mein aaya
ki zulfon mein tha aashiyana kisi ka
nazar lag gai mere dushman ki mujh ko
qayamat hua ruTh jaana kisi ka
khilaega gul rang laega ai 'shad'
tujhe dekh kar muskurana kisi ka
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 152)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.