shab ki pahnaiyon mein chiKH uThe
shab kī pahnā.iyoñ meñ chīḳh uThe
dard tanhā.iyoñ meñ chīḳh uThe
tah-ba-tah munjamid thakan jaagī
jism añgḌā.iyoñ meñ chīḳh uThe
dhuup jab ā.īna-ba-dast aa.ī
aks bīnā.iyoñ meñ chīḳh uThe
maiñ samundar huuñ koī tū siipī
merī gahrā.iyoñ meñ chīḳh uThe
ratjage tan ga.e darīchoñ par
ḳhvāb añgnā.iyoñ meñ chīḳh uThe
jab pahāḌoñ pe barf girne lage
koī utrā.iyoñ meñ chīḳh uThe
jab pukārā kisī musāfir ne
rāste khā.īyoñ meñ chīḳh uThe
kuchh ḳhamoshī se dekhte the mujhe
kuchh tamāshā.iyoñ meñ chīḳh uThe
raat bhar ḳhvāb dekhne vaale
din kī sachchā.iyoñ meñ chīḳh uThe
shab ki pahnaiyon mein chiKH uThe
dard tanhaiyon mein chiKH uThe
tah-ba-tah munjamid thakan jagi
jism angDaiyon mein chiKH uThe
dhup jab aaina-ba-dast aai
aks binaiyon mein chiKH uThe
main samundar hun koi tu sipi
meri gahraiyon mein chiKH uThe
ratjage tan gae darichon par
KHwab angnaiyon mein chiKH uThe
jab pahaDon pe barf girne lage
koi utraiyon mein chiKH uThe
jab pukara kisi musafir ne
raste khaiyon mein chiKH uThe
kuchh KHamoshi se dekhte the mujhe
kuchh tamashaiyon mein chiKH uThe
raat bhar KHwab dekhne wale
din ki sachchaiyon mein chiKH uThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.