shahr ka shahr agar aae bhi samjhane ko
shahr kā shahr agar aa.e bhī samjhāne ko
is se kyā farq paḌegā tire dīvāne ko
kyā koī khel hai benām-o-nishāñ ho jaanā
vaise to sham.a bhī tayyār hai jal jaane ko
vo ajab shaḳhs thā kal jis se mulāqāt huī
maiñ milā huuñ kisī jaane hue anjāne ko
ek lamha bhī to bekār nahīñ kaT saktā
ek gutthī jo milī hai mujhe suljhāne ko
ye alag baat ki ik buuñd muqaddar meñ na thī
sar pe sau baar ghaTā chhā.ī rahī chhāne ko
shaam hone ko hai jalne ko hai sham-e-mahfil
saañs lene kī bhī fursat nahīñ parvāne ko
shahr ka shahr agar aae bhi samjhane ko
is se kya farq paDega tere diwane ko
kya koi khel hai benam-o-nishan ho jaana
waise to shama bhi tayyar hai jal jaane ko
wo ajab shaKHs tha kal jis se mulaqat hui
main mila hun kisi jaane hue anjaane ko
ek lamha bhi to bekar nahin kaT sakta
ek gutthi jo mili hai mujhe suljhane ko
ye alag baat ki ek bund muqaddar mein na thi
sar pe sau bar ghaTa chhai rahi chhane ko
sham hone ko hai jalne ko hai sham-e-mahfil
sans lene ki bhi fursat nahin parwane ko
- Book : makhzan(shazaad ahmad number-) (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.