Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahron ki KHak chhan kar aaya hun ganw mein

Saleem Betab

shahron ki KHak chhan kar aaya hun ganw mein

Saleem Betab

MORE BYSaleem Betab

    shahroñ ḳhaak chhān kar aayā huuñ gaañv meñ

    kitnā sukūñ milā hai daraḳhtoñ chhāñv meñ

    vo aa rahā hai merī taraf reñgtā huā

    kāñTā talab chubh gayā patthar ke paañv meñ

    ab us ke jism par bhī muzayyan haiñ dhajjiyāñ

    jis shumār thā kabhī rañgīñ qabāoñ meñ

    detā rahā pahāḌ choTī se vo sadā

    us sadā.eñ kho ga.iiñ ūñchī fazāoñ meñ

    sabza ek shahr pe bikhrā hai chār-sū

    pattoñ ke rañg ghul ga.e ThanDī havāoñ meñ

    'betāb' laḌkiyoñ jasārat to dekhiye

    ḳhud ko shumār kartī haiñ sab apsarāoñ meñ

    shahron ki KHak chhan kar aaya hun ganw mein

    kitna sukun mila hai daraKHton ki chhanw mein

    wo aa raha hai meri taraf rengta hua

    kanTa talab ka chubh gaya patthar ke panw mein

    ab us ke jism par bhi muzayyan hain dhajjiyan

    jis ka shumar tha kabhi rangin qabaon mein

    deta raha pahaD ki choTi se wo sada

    us ki sadaen kho gain unchi fazaon mein

    sabza sa ek shahr pe bikhra hai chaar-su

    patton ke rang ghul gae ThanDi hawaon mein

    'betab' laDkiyon ki jasarat to dekhiye

    KHud ko shumar karti hain sab apsaraon mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now