sham-e-hasrat jala gae aansu
sham-e-hasrat jalā ga.e aañsū
raunaq-e-dil baḌhā ga.e aañsū
zabt-e-ġham kī shikastagī mat pūchh
un kī āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
aa ga.ī kaam dil kī be-tābī
ḳhalish-e-ġham baḌhā ga.e aañsū
tham ga.e jab firāq meñ naale
dil meñ tūfāñ uThā ga.e aañsū
jis ko dil se lagā ke rakkhā thā
vo ḳhazāna luTā ga.e aañsū
kyā qayāmat thī parda-dārī-e-ġham
muskurāte hī aa ga.e aañsū
sham-e-hasrat jala gae aansu
raunaq-e-dil baDha gae aansu
zabt-e-gham ki shikastagi mat puchh
un ki aankhon mein aa gae aansu
aa gai kaam dil ki be-tabi
KHalish-e-gham baDha gae aansu
tham gae jab firaq mein nale
dil mein tufan uTha gae aansu
jis ko dil se laga ke rakkha tha
wo KHazana luTa gae aansu
kya qayamat thi parda-dari-e-gham
muskuraate hi aa gae aansu
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 985)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.