shams-o-qamar se aur kabhi kahkashan se hum
shams-o-qamar se aur kabhī kahkashāñ se ham
guzre haiñ laakh baar had-e-lā-makāñ se ham
rahbar tire karam se ho is kārvāñ kī ḳhair
ab tak vahīñ khaḌe haiñ chale the jahāñ se ham
maazī kī talḳhiyoñ meñ rahe mutma.in magar
kyoñ ḳhush nahīñ haiñ dosto sāl-e-ravāñ se ham
josh-e-junūñ meñ aaj haiñ ham kis maqām par
ye bhī pata nahīñ hai chale the kahāñ se ham
un ke karam sitam se bhī kuchh kam nahīñ haiñ ab
'sailānī' kis tarah kaheñ apnī zabāñ se ham
shams-o-qamar se aur kabhi kahkashan se hum
guzre hain lakh bar had-e-la-makan se hum
rahbar tere karam se ho is karwan ki KHair
ab tak wahin khaDe hain chale the jahan se hum
mazi ki talKHiyon mein rahe mutmain magar
kyon KHush nahin hain dosto sal-e-rawan se hum
josh-e-junun mein aaj hain hum kis maqam par
ye bhi pata nahin hai chale the kahan se hum
un ke karam sitam se bhi kuchh kam nahin hain ab
'sailani' kis tarah kahen apni zaban se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.