shuur-e-nau-umr hun na mujhko mata-e-ranj-o-malal dena
shuur-e-nau-umr hun na mujhko mata-e-ranj-o-malal dena
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
shu.ūr-e-nau-umr huuñ na mujh ko matā-e-rañj-o-malāl denā
ki mujh ko aatā nahīñ ġhamoñ ko ḳhushī ke sāñchoñ maiñ Dhaal denā
hudūd meñ apnī rah ke shāyad bachā sakūñ maiñ vajūd apnā
maiñ ek qatra huuñ mujh ko dariyā ke rāste par na Daal denā
agar ḳhalā meñ pahuñch gayā to palaT ke vāpas na aa sakūñgā
tum apnī hadd-e-kashish se ūñchā na mujh ko yaaro uchhāl denā
vo sūratan aadmī hai lekin mizāj se mār-e-āstīñ hai
agar use āstīñ meñ rakhnā to zahr pahle nikāl denā
na jaane khiḌkī se jhāñktī ye kiran kise rāsta dikhā de
tum apne kamre kī khiḌkiyoñ par dabīz parde na Daal denā
sukūt-e-shab toḌne kī ḳhātir bhī koī hañgāma saath rakhnā
na shaam hote hī har tamannā ko qaid-ḳhāne maiñ Daal denā
ye ham ne maanā ki tum meñ sūraj kī sī tapish hai magar ye sun lo
ki ham samundar haiñ aur āsāñ nahīñ samundar ubaal denā
shuur-e-nau-umr hun na mujh ko mata-e-ranj-o-malal dena
ki mujh ko aata nahin ghamon ko KHushi ke sanchon main Dhaal dena
hudud mein apni rah ke shayad bacha sakun main wajud apna
main ek qatra hun mujh ko dariya ke raste par na Dal dena
agar KHala mein pahunch gaya to palaT ke wapas na aa sakunga
tum apni hadd-e-kashish se uncha na mujh ko yaro uchhaal dena
wo suratan aadmi hai lekin mizaj se mar-e-astin hai
agar use aastin mein rakhna to zahr pahle nikal dena
na jaane khiDki se jhankti ye kiran kise rasta dikha de
tum apne kamre ki khiDkiyon par dabiz parde na Dal dena
sukut-e-shab toDne ki KHatir bhi koi hangama sath rakhna
na sham hote hi har tamanna ko qaid-KHane main Dal dena
ye hum ne mana ki tum mein suraj ki si tapish hai magar ye sun lo
ki hum samundar hain aur aasan nahin samundar ubaal dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.