silsila yun bhi rawa rakkha shanasai ka
silsila yuuñ bhī ravā rakkhā shanāsā.ī kā
koī rishta to rahe aañkh se bīnā.ī kā
tabsira ḳhuub yahāñ tiir kī raftār pe hai
tazkira kaun kare zaḳhm kī gahrā.ī kā
mohtaram kah ke mujhe us ne pashemān kiyā
koī pahlū na milā jab mirī rusvā.ī kā
tañg aa kar tirī yādoñ ko pare jhaTkā hai
marsiya kaun paḌhe roz kī tanhā.ī kā
apne zaḳhmoñ se gila hai mujhe itnā 'az.har'
maiñ ne ehsān uThā rakkhā hai purvā.ī kā
silsila yun bhi rawa rakkha shanasai ka
koi rishta to rahe aankh se binai ka
tabsira KHub yahan tir ki raftar pe hai
tazkira kaun kare zaKHm ki gahrai ka
mohtaram kah ke mujhe us ne pasheman kiya
koi pahlu na mila jab meri ruswai ka
tang aa kar teri yaadon ko pare jhaTka hai
marsiya kaun paDhe roz ki tanhai ka
apne zaKHmon se gila hai mujhe itna 'azhar'
main ne ehsan uTha rakkha hai purwai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.