silsile KHwab ke ashkon se sanwarte kab hain
silsile ḳhvāb ke ashkoñ se sañvarte kab haiñ
aaj dariyā bhī samundar meñ utarte kab haiñ
vaqt ik mauj hai aatā hai guzar jaatā hai
Duub jaate haiñ jo lamhāt ubharte kab haiñ
yuuñ bhī lagtā hai tirī yaad bahut hai lekin
zaḳhm ye dil ke tirī yaad se bharte kab haiñ
lahar ke sāmne sāhil kī haqīqat kyā hai
jin ko jiinā hai vo hālāt se Darte kab haiñ
ye alag baat hai lahje meñ udāsī hai 'shamīm'
varna ham dard kā iz.hār bhī karte kab haiñ
silsile KHwab ke ashkon se sanwarte kab hain
aaj dariya bhi samundar mein utarte kab hain
waqt ek mauj hai aata hai guzar jata hai
Dub jate hain jo lamhat ubharte kab hain
yun bhi lagta hai teri yaad bahut hai lekin
zaKHm ye dil ke teri yaad se bharte kab hain
lahar ke samne sahil ki haqiqat kya hai
jin ko jina hai wo haalat se Darte kab hain
ye alag baat hai lahje mein udasi hai 'shamim'
warna hum dard ka izhaar bhi karte kab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.