simaT gai to shabnam phul sitara thi
simaT ga.ī to shabnam phuul sitāra thī
biphar ke merī lahar lahar añgāra thī
kal tirī ḳhvāhish kab itnī banjārī thī
tū sar-tā-pā aañkh thā maiñ nazzāra thī
maiñ ki junūñ ke paroñ pe uḌtī ḳhushbū thī
rañg rañg ke ākār meñ Dhaltā paara thī
maiñ dhartī huuñ use yahī bas yaad rahā
bhuul gayā maiñ aur bhī ik sayyāra thī
tū hī to izn thā tū hī anjām huā
tirā bichhaḌnā aur maiñ paara paara thī
simaT gai to shabnam phul sitara thi
biphar ke meri lahar lahar angara thi
kal teri KHwahish kab itni banjari thi
tu sar-ta-pa aankh tha main nazzara thi
main ki junun ke paron pe uDti KHushbu thi
rang rang ke aakar mein Dhalta para thi
main dharti hun use yahi bas yaad raha
bhul gaya main aur bhi ek sayyara thi
tu hi to izn tha tu hi anjam hua
tera bichhaDna aur main para para thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.