Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitare ka raaz rakh liya mehman maine

Jamal Ehsani

sitare ka raaz rakh liya mehman maine

Jamal Ehsani

MORE BYJamal Ehsani

    sitāre raaz rakh liyā mehmān maiñ ne

    ik ujle ḳhvāb aur aañkh ke darmiyān maiñ ne

    chaḌhā hai jab chāñd āsmāñ par to bojh utrā

    sunā har sone vaale ko dāstān maiñ ne

    tamām tesha-ba-dast hairat meñ gum hue haiñ

    charāġh se kaaT havā chaTān maiñ ne

    maiñ dhuup meñ kyuuñ kisī ehsānmand hotā

    ḳhud apne saa.e ko kar liyā sā.ebān maiñ ne

    'jamāl' har shahr se hai pyārā vo shahr mujh ko

    jahāñ se dekhā thā pahlī baar āsmān maiñ ne

    sitare ka raaz rakh liya mehman main ne

    ek ujle KHwab aur aankh ke darmiyan main ne

    chaDha hai jab chand aasman par to bojh utra

    suna di har sone wale ko dastan main ne

    tamam tesha-ba-dast hairat mein gum hue hain

    charagh se kaT di hawa ki chaTan main ne

    main dhup mein kyun kisi ka ehsanmand hota

    KHud apne sae ko kar liya saeban main ne

    'jamal' har shahr se hai pyara wo shahr mujh ko

    jahan se dekha tha pahli bar aasman main ne

    Source :
    • Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 32)
    • Author : Jamal Ehsani
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now