sitam-e-garmi-e-sahra mujhe malum na tha
sitam-e-garmī-e-sahrā mujhe ma.alūm na thā
ḳhushk ho jā.egā dariyā mujhe ma.alūm na thā
maiñ ne samjhā thā ki firdaus-e-barīñ hai duniyā
ik jahannum hai sarāpā mujhe ma.alūm na thā
chand dānista haqā.eq kī talab kī ḳhātir
zulm Dhā.egā zamāna mujhe ma.alūm na thā
lahlahā uThtā chaman merī umīdoñ kā magar
zard thā vaqt kā chehrā mujhe ma.alūm na thā
dostī pyaar ḳhulūs amn vafā kī ḳhushbū
ye haiñ alfāz-e-tamanna mujhe ma.alūm na thā
bārhā jis ke qarīb aa ke milā mujh ko sukūñ
merā apnā hī thā saaya mujhe ma.alūm na thā
ahd-e-tiflī thā 'kamāl' ahd-e-masarrat-āgīñ
ġham ke saa.e meñ palūñgā mujhe ma.alūm na thā
sitam-e-garmi-e-sahra mujhe malum na tha
KHushk ho jaega dariya mujhe malum na tha
main ne samjha tha ki firdaus-e-barin hai duniya
ek jahannum hai sarapa mujhe malum na tha
chand danista haqaeq ki talab ki KHatir
zulm Dhaega zamana mujhe malum na tha
lahlaha uThta chaman meri umidon ka magar
zard tha waqt ka chehra mujhe malum na tha
dosti pyar KHulus amn wafa ki KHushbu
ye hain alfaz-e-tamanna mujhe malum na tha
barha jis ke qarib aa ke mila mujh ko sukun
mera apna hi tha saya mujhe malum na tha
ahd-e-tifli tha 'kamal' ahd-e-masarrat-agin
gham ke sae mein palunga mujhe malum na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.