sitam ki tegh pe ye dast-e-be-niyam rakkha
sitam kī teġh pe ye dast-e-be-niyām rakhā
gul-e-shikast sar-e-shāḳh-e-intiqām rakhā
maiñ dil ko us kī taġhāful-sarā se le aayā
aur apne ḳhāna-e-vahshat meñ zer-e-dām rakhā
nigār-ḳhāna-e-taslīm kyā bayābāñ thā
jahāñ pe sail-e-ḳharābī ko maiñ ne thaam rakhā
mizha pe ḳhushk kiye ashk-e-nā-murād us ne
phir aa.ine meñ mirā aks-e-lāla-fām rakhā
isī fasāna-e-vahshat meñ āḳhir-e-shab ko
maiñ teġh-e-tez rakkhī us ne niim jaam rakhā
sitam ki tegh pe ye dast-e-be-niyam rakha
gul-e-shikast sar-e-shaKH-e-intiqam rakha
main dil ko us ki taghaful-sara se le aaya
aur apne KHana-e-wahshat mein zer-e-dam rakha
nigar-KHana-e-taslim kya bayaban tha
jahan pe sail-e-KHarabi ko main ne tham rakha
mizha pe KHushk kiye ashk-e-na-murad us ne
phir aaine mein mera aks-e-lala-fam rakha
isi fasana-e-wahshat mein aaKHir-e-shab ko
main tegh-e-tez rakkhi us ne nim jam rakha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.