siwa hai had se ab ehsas ki girani bhi
sivā hai had se ab ehsās kī girānī bhī
girāñ guzarne lagī un kī mehrbānī bhī
kis ehtimām se paḌhte rahe sahīfa-e-zīst
chaleñ ki ḳhatm huī ab to vo kahānī bhī
likho to ḳhūn-e-jigar se havā kī lahroñ par
ye dāstāñ anokhī bhī hai purānī bhī
kisī tarah se bhī vo gauhar-e-talab na milā
hazār baar luTā.ī hai zindagānī bhī
hamīñ se anjuman-e-ishq mo'tabar Thahrī
hamīñ ko sauñpī ga.ī ġham kī pāsbānī bhī
ye kyā ajab ki vahī bahr-e-nīstī meñ girī
nafs kī mauj meñ mastī bhī thī ravānī bhī
shu.ūr o fikr se aage hai chashma-e-taḳhlīq
haTegā sañg to bahne lagegā paanī bhī
siwa hai had se ab ehsas ki girani bhi
giran guzarne lagi un ki mehrbani bhi
kis ehtimam se paDhte rahe sahifa-e-zist
chalen ki KHatm hui ab to wo kahani bhi
likho to KHun-e-jigar se hawa ki lahron par
ye dastan anokhi bhi hai purani bhi
kisi tarah se bhi wo gauhar-e-talab na mila
hazar bar luTai hai zindagani bhi
hamin se anjuman-e-ishq mo'tabar Thahri
hamin ko saunpi gai gham ki pasbani bhi
ye kya ajab ki wahi bahr-e-nisti mein giri
nafs ki mauj mein masti bhi thi rawani bhi
shuur o fikr se aage hai chashma-e-taKHliq
haTega sang to bahne lagega pani bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.