so jaiye huzur ki ab raat ho gai
so jā.iye huzūr ki ab raat ho ga.ī
jo baat hone vaalī thī vo baat ho ga.ī
ab kahne sunñe ke liye kuchh bhī nahīñ rahā
bas itnā kaafī hai ki mulāqāt ho ga.ī
thoḌī sī der is meñ huī to zarūr hai
lekin qubūl apnī munājāt ho ga.ī
ham biij bo ke sū-e-falak dekhte rahe
aur dekhte hī dekhte barsāt ho ga.ī
apnoñ meñ haar jiit ke ma.anī hī aur haiñ
ḳhush huuñ bahut ki un se mujhe maat ho ga.ī
so jaiye huzur ki ab raat ho gai
jo baat hone wali thi wo baat ho gai
ab kahne sunne ke liye kuchh bhi nahin raha
bas itna kafi hai ki mulaqat ho gai
thoDi si der is mein hui to zarur hai
lekin qubul apni munajat ho gai
hum bij bo ke su-e-falak dekhte rahe
aur dekhte hi dekhte barsat ho gai
apnon mein haar jit ke mani hi aur hain
KHush hun bahut ki un se mujhe mat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.