subh-e-ummid ki ek sham jalai gai thi
sub.h-e-ummīd kī ik sham' jalā.ī ga.ī thī
is tarah mamlikat-e-jism bachā.ī ga.ī thī
kitnā be-faiz zamāna thā ki ḳhvāhish merī
gosha-e-dil meñ taḌaptī huī paa.ī ga.ī thī
muddatoñ tujh pe luTātā rahā maiñ daulat-e-dil
jo kisī aur ke hisse kī kamā.ī ga.ī thī
dekhne vāloñ kī āñkhoñ meñ utar aatī thī
ek tasvīr jo kāġhaz pe banā.ī ga.ī thī
mere māthe pe ubhar aate the vahshat ke nuqūsh
merī miTTī kisī sahrā se uThā.ī ga.ī thī
mujh se mat pūchh shab-e-shahar-e-junūñ kā qissa
ḳhvāb aate nahīñ the niiñd uḌaa.ī ga.ī thī
chashm-e-hairat ne vo duniyā bhī to dekhī hai jahāñ
pyaas dariyāoñ kī sahrā se bujhā.ī ga.ī thī
subh-e-ummid ki ek sham' jalai gai thi
is tarah mamlikat-e-jism bachai gai thi
kitna be-faiz zamana tha ki KHwahish meri
gosha-e-dil mein taDapti hui pai gai thi
muddaton tujh pe luTata raha main daulat-e-dil
jo kisi aur ke hisse ki kamai gai thi
dekhne walon ki aankhon mein utar aati thi
ek taswir jo kaghaz pe banai gai thi
mere mathe pe ubhar aate the wahshat ke nuqush
meri miTTi kisi sahra se uThai gai thi
mujh se mat puchh shab-e-shahar-e-junun ka qissa
KHwab aate nahin the nind uDai gai thi
chashm-e-hairat ne wo duniya bhi to dekhi hai jahan
pyas dariyaon ki sahra se bujhai gai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.