sukhi zamin ko yaad ke baadal bhigo gae
sūkhī zamīñ ko yaad ke bādal bhigo ga.e
palkoñ ko aaj biite hue pal bhigo ga.e
aañsū falak kī aañkh se Tapke tamām raat
aur sub.h tak zamīn kā āñchal bhigo ga.e
maazī ke abr TuuT ke barse kuchh is tarah
muddat se ḳhushk āñkhoñ ke jañgal bhigo ga.e
vaqt-e-safar judā.ī ke lamhāt-e-muzmahil
ik bevafā kī aañkh kā kājal bhigo ga.e
maiñ manzaroñ meñ khoyā huā parbatoñ ke thā
aa kar kisī kī yaad ke bādal bhigo ga.e
sukhi zamin ko yaad ke baadal bhigo gae
palkon ko aaj bite hue pal bhigo gae
aansu falak ki aankh se Tapke tamam raat
aur subh tak zamin ka aanchal bhigo gae
mazi ke abr TuT ke barse kuchh is tarah
muddat se KHushk aankhon ke jangal bhigo gae
waqt-e-safar judai ke lamhat-e-muzmahil
ek bewafa ki aankh ka kajal bhigo gae
main manzaron mein khoya hua parbaton ke tha
aa kar kisi ki yaad ke baadal bhigo gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.