suli pe jaan aTki hai marta mariz hun
suulī pe jaan aTkī hai martā marīz huuñ
zaḳhmoñ se lutf letā anokhā marīz huuñ
bāteñ mohabbatoñ kī mire sāmne na kar
tū jāntā bhī hai ki maiñ dil kā marīz huuñ
pāgal kiyā hai ishq ne aadhā jo rah gayā
ab aadhe sar ke dard kā puurā marīz huuñ
phir merā Thiik hone ko dil hī nahīñ kiyā
us ne mujhe kahā thā maiñ achchhā marīz huuñ
vo ḳhush hai merī zāhirī hālat ko dekh kar
us ko ḳhabar nahīñ ki maiñ kitnā marīz huuñ
tum dostoñ ke vāste be-shak baḌā sahī
us kī nazar meñ maiñ abhī chhoTā marīz huuñ
bīmār-e-karbalā ke hai sadqe shifā milī
maulā se jā ke pūchheñ maiñ kaisā marīz huuñ
pahle bhī mere gaañv meñ ghāyal haiñ tiin shaḳhs
āzār āgahī kā maiñ chauthā marīz huuñ
us ne 'hasīb' mujh ko masīhā samajh liyā
maiñ ne hazār baar kahā thā marīz huuñ
suli pe jaan aTki hai marta mariz hun
zaKHmon se lutf leta anokha mariz hun
baaten mohabbaton ki mere samne na kar
tu jaanta bhi hai ki main dil ka mariz hun
pagal kiya hai ishq ne aadha jo rah gaya
ab aadhe sar ke dard ka pura mariz hun
phir mera Thik hone ko dil hi nahin kiya
us ne mujhe kaha tha main achchha mariz hun
wo KHush hai meri zahiri haalat ko dekh kar
us ko KHabar nahin ki main kitna mariz hun
tum doston ke waste be-shak baDa sahi
us ki nazar mein main abhi chhoTa mariz hun
bimar-e-karbala ke hai sadqe shifa mili
maula se ja ke puchhen main kaisa mariz hun
pahle bhi mere ganw mein ghayal hain tin shaKHs
aazar aagahi ka main chautha mariz hun
us ne 'hasib' mujh ko masiha samajh liya
main ne hazar bar kaha tha mariz hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.