tamir-e-nau qaza-o-qadar ki nazar mein hai
tamir-e-nau qaza-o-qadar ki nazar mein hai
Fazl Ahmad kariim Fazli
MORE BYFazl Ahmad kariim Fazli
tāmīr-e-nau qazā-o-qadar kī nazar meñ hai
aaj ek zalzala sā har ik bām-o-dar meñ hai
kitne charāġh umiid ke jal jal ke bujh ga.e
kyā jaane kitnī der tulū-e-sahar meñ hai
har ik hai sū-e-manzil-e-jānāñ ravāñ-davāñ
har zarra kā.enāt kā paiham safar meñ hai
gum-karda raah ho ke bhī un se hue na duur
gum-gashtagī bhī hai to usī rahguzar meñ hai
aa.ī kahāñ se dair-o-haram meñ ye raushnī
merī jabīñ kā nuur mire sañg-e-dar meñ hai
guzrī ravish ravish meñ jalātī huī charāġh
shān-e-ḳhirām-e-yār nasīm-e-sahar meñ hai
tum jo nahīñ to ghar meñ vo ab baat hī nahīñ
dīvār-o-dar kī baat to dīvār-o-dar meñ hai
dil bhī dhaḌak rahā hai nigāheñ bhī dar pe haiñ
ik ḳhaas lutf vāda-e-nā-mo'tabar meñ hai
Dar hai kahīñ mujhī ko ye pahle Dubo na de
tūfān-e-iltijā jo mirī chashm-e-tar meñ hai
sāhil tak aa.ī mauj ye kah kar palaT ga.ī
jiine kā lutf zindagī-e-pur-ḳhatar meñ hai
ḳhanjar-ba-kaf hai ye to vo ḳhanjar-dar-āstīñ
itnā sā farq rāhzan o rāhbar meñ hai
aa.ī jigar-figār havādis ke faiz se
shoḳhī jo in dinoñ mire ḳhūn-e-jigar meñ hai
ahl-e-hunar ke dil meñ dhaḌakte haiñ sab ke dil
saare jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
ifshā-e-rāz-e-dil to baḌā aib hai magar
ho gar adab ke saath to dāḳhil hunar meñ hai
āñkhoñ meñ be-hunar kī khaTaktā hai ban ke aib
ye ik ajiib baat kamāl-e-hunar meñ hai
hotā hai bazm-e-ġhair meñ bhī ab jo zikr-e-ḳhair
koī to baat 'fazlī'-e-āshufta-sar meñ hai
tamir-e-nau qaza-o-qadar ki nazar mein hai
aaj ek zalzala sa har ek baam-o-dar mein hai
kitne charagh umid ke jal jal ke bujh gae
kya jaane kitni der tulu-e-sahar mein hai
har ek hai su-e-manzil-e-jaanan rawan-dawan
har zarra kaenat ka paiham safar mein hai
gum-karda rah ho ke bhi un se hue na dur
gum-gashtagi bhi hai to usi rahguzar mein hai
aai kahan se dair-o-haram mein ye raushni
meri jabin ka nur mere sang-e-dar mein hai
guzri rawish rawish mein jalati hui charagh
shan-e-KHiram-e-yar nasim-e-sahar mein hai
tum jo nahin to ghar mein wo ab baat hi nahin
diwar-o-dar ki baat to diwar-o-dar mein hai
dil bhi dhaDak raha hai nigahen bhi dar pe hain
ek KHas lutf wada-e-na-mo'tabar mein hai
Dar hai kahin mujhi ko ye pahle Dubo na de
tufan-e-iltija jo meri chashm-e-tar mein hai
sahil tak aai mauj ye kah kar palaT gai
jine ka lutf zindagi-e-pur-KHatar mein hai
KHanjar-ba-kaf hai ye to wo KHanjar-dar-astin
itna sa farq rahzan o rahbar mein hai
aai jigar-figar hawadis ke faiz se
shoKHi jo in dinon mere KHun-e-jigar mein hai
ahl-e-hunar ke dil mein dhaDakte hain sab ke dil
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
ifsha-e-raaz-e-dil to baDa aib hai magar
ho gar adab ke sath to daKHil hunar mein hai
aankhon mein be-hunar ki khaTakta hai ban ke aib
ye ek ajib baat kamal-e-hunar mein hai
hota hai bazm-e-ghair mein bhi ab jo zikr-e-KHair
koi to baat 'fazli'-e-ashufta-sar mein hai
- Book : NUQOOSH (Yearly) (Pg. 168)
- Author : Mohd. Fufail
- Publication : Idarah-e-Farogh-e-urdu, Lahore (Jan. Feb. 1957,Issue 61,62)
- Edition : Jan. Feb. 1957,Issue 61,62
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.