tasir jazb maston ki har har ghazal mein hai
tāsīr jazb mastoñ kī har har ġhazal meñ hai
e'jāz baḌ meñ hai to karāmat zaTal meñ hai
dil meñ jo apne yaar hai to dil baġhal meñ hai
phir kyuuñ hai ġham ki sāhab-e-ḳhāna mahal meñ hai
kitnā ġhurūr hai tumheñ husn-o-jamāl par
go yād-e-yār-e-husn tumhāre 'amal meñ hai
hai yaad dil meñ panja-e-rañgīn-e-yār kī
mehñdī ke chor kā guzar apne mahal meñ hai
bad-tar ḳhizāñ se hai hameñ is baaġh kī bahār
boī nifāq phuul meñ hī zahr phal meñ hai
lete haiñ bose un lab-o-gesū ke rāt-din
mulk-e-yaman se tāḳhtan apne 'amal meñ hai
mun.im ye kār-ḳhāne haiñ duniyā ke kar na fikr
koī hai jhoñpaḌe meñ to koī mahal meñ hai
jo ban gayā vo pech magar un ke haiñ vahī
rassī kā bal huzūr kī zulfoñ ke bal meñ hai
pahlū meñ mujh hazīñ ke Tapaktā hai rāt-din
yārab ye dil hai yā koī phoḌā baġhal meñ hai
itnā lazīz bāġh-e-jahāñ meñ samar hai kaun
jo zā.iqa nihāl-e-tamannā ke phal meñ hai
hasrat hai ham bhī kahte kisī din ye ai falak
ai dil mubārak aaj to dilbar baġhal meñ hai
dushnām de ke bose ye kah kah ke dete haiñ
in'ām gāliyoñ ke ye nemul-badal meñ hai
laayā hai rang phir gul-e-dāġh-e-junūñ mirā
shāyad nuzūl-e-nayyar-e-āzam hamal meñ hai
mujh riñd-e-bādah-kash ko ye jo ḳhauf-e-mohtasib
dil kī tarah chhupī huī botal baġhal meñ hai
bahr-e-sarashk dīda-e-dil meñ hai maujzan
dekho tilism-e-husn ki dariyā kañval meñ hai
ai mai-kasho tumhārī bhī dāvat kareñge ham
urs-e-janāb-e-pīr-e-muġhāñ āj-kal meñ hai
sān.e.a ne vo dahan na banāyā na kuchh likhā
ḳhālī jagah navishta-e-roz-e-azal meñ hai
ḳhat bhī diyā to qāsid-e-ġhaflat-shi.ār ko
naama mirā bañdhā huā bāzū-e-shal meñ hai
dast-e-junūñ ne phaaḌ ke pheñkā idhar-udhar
dāman abad meñ hai to garebāñ azal meñ hai
ashkoñ ke badle ḳhuun ke qatre Tapakte haiñ
battī hamāre zaḳhm kī raushan kañval meñ hai
dil phuk rahā hai garche ham āġhosh hai vo gul
pahlū meñ mere ḳhuld hai dozaḳh baġhal meñ hai
bīmār-e-ishq kahte haiñ dārushshifā use
aisī hī jo hasīn farañgī-mahal meñ hai
likhnā thā jo kuchh aap ko pahle hī likh diyā
hāl-e-abad bhī daftar-e-roz-e-azal meñ hai
pahlū meñ dil hamāre hai zeb-e-kanār-e-yār
āġhosh meñ hai dost to dushman baġhal meñ hai
vā'da kiyā thā aaj so phir kal pe Tal gayā
āḳhir hamārī maut isī āj-kal meñ hai
lapkā paḌā hai husn-parastī kā kis qadar
jab dekhiye 'qalaq' ko farañgī-mahal meñ hai
tasir jazb maston ki har har ghazal mein hai
e'jaz baD mein hai to karamat zaTal mein hai
dil mein jo apne yar hai to dil baghal mein hai
phir kyun hai gham ki sahab-e-KHana mahal mein hai
kitna ghurur hai tumhein husn-o-jamal par
go yaad-e-yar-e-husn tumhaare 'amal mein hai
hai yaad dil mein panja-e-rangin-e-yar ki
mehndi ke chor ka guzar apne mahal mein hai
bad-tar KHizan se hai hamein is bagh ki bahaar
boi nifaq phul mein hi zahr phal mein hai
lete hain bose un lab-o-gesu ke raat-din
mulk-e-yaman se taKHtan apne 'amal mein hai
munim ye kar-KHane hain duniya ke kar na fikr
koi hai jhonpaDe mein to koi mahal mein hai
jo ban gaya wo pech magar un ke hain wahi
rassi ka bal huzur ki zulfon ke bal mein hai
pahlu mein mujh hazin ke Tapakta hai raat-din
yarab ye dil hai ya koi phoDa baghal mein hai
itna laziz bagh-e-jahan mein samar hai kaun
jo zaiqa nihaal-e-tamanna ke phal mein hai
hasrat hai hum bhi kahte kisi din ye ai falak
ai dil mubarak aaj to dilbar baghal mein hai
dushnam de ke bose ye kah kah ke dete hain
in'am galiyon ke ye nemul-badal mein hai
laya hai rang phir gul-e-dagh-e-junun mera
shayad nuzul-e-nayyar-e-azam hamal mein hai
mujh rind-e-baadah-kash ko ye jo KHauf-e-mohtasib
dil ki tarah chhupi hui botal baghal mein hai
bahr-e-sarashk dida-e-dil mein hai maujzan
dekho tilism-e-husn ki dariya kanwal mein hai
ai mai-kasho tumhaari bhi dawat karenge hum
urs-e-janab-e-pir-e-mughan aaj-kal mein hai
sanea ne wo dahan na banaya na kuchh likha
KHali jagah nawishta-e-roz-e-azal mein hai
KHat bhi diya to qasid-e-ghaflat-shiar ko
nama mera bandha hua bazu-e-shal mein hai
dast-e-junun ne phaD ke phenka idhar-udhar
daman abad mein hai to gareban azal mein hai
ashkon ke badle KHun ke qatre Tapakte hain
batti hamare zaKHm ki raushan kanwal mein hai
dil phuk raha hai garche hum aaghosh hai wo gul
pahlu mein mere KHuld hai dozaKH baghal mein hai
bimar-e-ishq kahte hain darushshifa use
aisi hi jo hasin farangi-mahal mein hai
likhna tha jo kuchh aap ko pahle hi likh diya
haal-e-abad bhi daftar-e-roz-e-azal mein hai
pahlu mein dil hamare hai zeb-e-kanar-e-yar
aaghosh mein hai dost to dushman baghal mein hai
wa'da kiya tha aaj so phir kal pe Tal gaya
aaKHir hamari maut isi aaj-kal mein hai
lapka paDa hai husn-parasti ka kis qadar
jab dekhiye 'qalaq' ko farangi-mahal mein hai
- Mazhar-e-Ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.