tabhi to main mohabbat ka hawalati nahin hota
tabhī to maiñ mohabbat kā havālātī nahīñ hotā
yahāñ apne sivā koī mulāqātī nahīñ hotā
giraftār-e-vafā rone kā koī ek mausam rakh
jo naala roz bah nikle vo barsātī nahīñ hotā
bichhaḌne kā irāda hai to mujh se mashvara kar lo
mohabbat meñ koī bhī faisla zaatī nahīñ hotā
tumheñ dil meñ jagah dī thī nazar se duur kyā karte
jo markaz meñ Thahar jaa.e mazāfātī nahīñ hotā
tabhi to main mohabbat ka hawalati nahin hota
yahan apne siwa koi mulaqati nahin hota
giraftar-e-wafa rone ka koi ek mausam rakh
jo nala roz bah nikle wo barsati nahin hota
bichhaDne ka irada hai to mujh se mashwara kar lo
mohabbat mein koi bhi faisla zati nahin hota
tumhein dil mein jagah di thi nazar se dur kya karte
jo markaz mein Thahar jae mazafati nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.