tan-badan se jaan hi to sirf uDa le jaegi
tan-badan se jaan hī to sirf uḌā le jā.egī
zindagī se maut aa kar aur kyā le jā.egī
jis tarah merī ḳhushī letī ga.ī vo chhīn kar
gardish-e-hālāt ye ġham bhī uThā le jā.egī
merī jis āvāz ko rahnā hai mere baad bhī
kyā zamāne kī havas us ko churā le jā.egī
kaam agar kuchh bhī na aa.egā mirā zabt-e-alam
vahshat-e-dil hī mirī hālat sañbhāle jā.egī
rang jin kā sabz hai vo kab gireñge peḌ se
dhuup kī rut zard patte hī uḌā le jā.egī
ziist ko 'nādim' usī dam hī milegā kuchh qarār
dard-e-dil se dard-e-sar kī jab davā le jā.egī
tan-badan se jaan hi to sirf uDa le jaegi
zindagi se maut aa kar aur kya le jaegi
jis tarah meri KHushi leti gai wo chhin kar
gardish-e-haalat ye gham bhi uTha le jaegi
meri jis aawaz ko rahna hai mere baad bhi
kya zamane ki hawas us ko chura le jaegi
kaam agar kuchh bhi na aaega mera zabt-e-alam
wahshat-e-dil hi meri haalat sanbhaale jaegi
rang jin ka sabz hai wo kab girenge peD se
dhup ki rut zard patte hi uDa le jaegi
zist ko 'nadim' usi dam hi milega kuchh qarar
dard-e-dil se dard-e-sar ki jab dawa le jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.