tarab se ho aaya hun aur yas ki tah tak Dub chuka hun
tarab se ho aayā huuñ aur yaas kī tah tak Duub chukā huuñ
duur huuñ apnī khoj se ab tak kab se ḳhud ko DhūñD rahā huuñ
maiñ huuñ ye ghaTtā phailtā saaya maiñ ye kaise ho saktā huuñ
vaqt ke sayyāl ā.īne meñ kaun hai kis ko dekh rahā huuñ
dil ke kisī pinhāñ goshe meñ an-jānī koī haar chhipī hai
jaan tapāk haiñ terī bāteñ maiñ be-bāt bhaTak jaatā huuñ
dekhte dekhte terā chehra aur ik chehra ban jaatā hai
ik mānūs malūl sā chehra kab dekhā thā bhuul gayā huuñ
ik lamhe ne mujh se kahā thā tū hī azal hai tū hī abad hai
lamha biitā baat ga.ī is ḳhvāb se kab kā chauñk uThā huuñ
dīda-e-vā ke damakte ḳhvābo mere saath chaloge kab tak
tum ki vafūr-e-rañg-o-navā ho maiñ ki shikast-e-dil kī sadā huuñ
ḳhaak uḌtī hai lab-bosī ko taare aañkh ko chhū lete haiñ
qurb kā ḳhvāhāñ mujh se zamāna maiñ tanhā huuñ maiñ tanhā huuñ
tarab se ho aaya hun aur yas ki tah tak Dub chuka hun
dur hun apni khoj se ab tak kab se KHud ko DhunD raha hun
main hun ye ghaTta phailta saya main ye kaise ho sakta hun
waqt ke sayyal aaine mein kaun hai kis ko dekh raha hun
dil ke kisi pinhan goshe mein an-jaani koi haar chhipi hai
jaan tapak hain teri baaten main be-baat bhaTak jata hun
dekhte dekhte tera chehra aur ek chehra ban jata hai
ek manus malul sa chehra kab dekha tha bhul gaya hun
ek lamhe ne mujh se kaha tha tu hi azal hai tu hi abad hai
lamha bita baat gai is KHwab se kab ka chaunk uTha hun
dida-e-wa ke damakte KHwabo mere sath chaloge kab tak
tum ki wafur-e-rang-o-nawa ho main ki shikast-e-dil ki sada hun
KHak uDti hai lab-bosi ko tare aankh ko chhu lete hain
qurb ka KHwahan mujh se zamana main tanha hun main tanha hun
- Book : Roshnai (Pg. 156)
- Author : Ahmad Zainuddin
- Publication : Ahmad Brothers Printers Karachi (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.