tark-e-talluqat pe roya na tu na main
tark-e-ta.alluqāt pe royā na tū na maiñ
lekin ye kyā ki chain se soyā na tū na maiñ
hālāt ke tilism ne pathrā diyā magar
biite samoñ kī yaad meñ khoyā na tū na maiñ
har chand iḳhtilāf ke pahlū hazār the
vā kar sakā magar lab-e-goyā na tū na maiñ
nauhe fasīl-e-zabt se ūñche na ho sake
khul kar dayār-e-sañg meñ royā na tū na maiñ
jab bhī nazar uThī to falak kī taraf uThī
bar-gashta āsmān se goyā na tū na maiñ
tark-e-talluqat pe roya na tu na main
lekin ye kya ki chain se soya na tu na main
haalat ke tilism ne pathra diya magar
bite samon ki yaad mein khoya na tu na main
har chand iKHtilaf ke pahlu hazar the
wa kar saka magar lab-e-goya na tu na main
nauhe fasil-e-zabt se unche na ho sake
khul kar dayar-e-sang mein roya na tu na main
jab bhi nazar uThi to falak ki taraf uThi
bar-gashta aasman se goya na tu na main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.