tasawwuraat ki jagir dekhte rahna
tasavvurāt kī jāgīr dekhte rahnā
hamāre ḳhvāb kī ta.abīr dekhte rahnā
maiñ sāmne huuñ abhī guftugū karo mujh se
ki baad meñ mirī tasvīr dekhte rahnā
tirī zabān se niklā jo be-ḳhayālī meñ
mujhe lagegā vahī tiir dekhte rahnā
maiñ apnī āñkhoñ se duniyā ko jiit lā.ūñgī
tum mere paañv kī zanjīr dekhte rahnā
tasawwuraat ki jagir dekhte rahna
hamare KHwab ki tabir dekhte rahna
main samne hun abhi guftugu karo mujh se
ki baad mein meri taswir dekhte rahna
teri zaban se nikla jo be-KHayali mein
mujhe lagega wahi tir dekhte rahna
main apni aankhon se duniya ko jit laungi
tum mere panw ki zanjir dekhte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.