tegh-e-jafa ko teri nahin imtihan se rabt
teġh-e-jafā ko terī nahīñ imtihāñ se rabt
merī subuk-sarī ko hai bār-e-garāñ se rabt
duniyā ko ham se kaam na duniyā se ham ko kaam
ḳhātir se terī rakhte haiñ sāre-jahāñ se rabt
uḌte hī gard jaatī hai jo sū-e-asmāñ
hai kuchh na kuchh zamīn ko bhī āsmāñ se rabt
iz.hār-e-hāl ke liye sūrat savāl hai
hai guftugū se kaam na ham ko zabāñ se rabt
chashme kī tarah rahtī haiñ jaarī mudām ye
āñkhoñ ko ho gayā hai jo āb-e-ravāñ se rabt
be-rabtiyoñ ne 'qadr' miTā.ī jo rabt kī
hai gosht ko bhī apne na ab ustuḳhvāñ se rabt
tegh-e-jafa ko teri nahin imtihan se rabt
meri subuk-sari ko hai bar-e-garan se rabt
duniya ko hum se kaam na duniya se hum ko kaam
KHatir se teri rakhte hain sare-jahan se rabt
uDte hi gard jati hai jo su-e-asman
hai kuchh na kuchh zamin ko bhi aasman se rabt
izhaar-e-haal ke liye surat sawal hai
hai guftugu se kaam na hum ko zaban se rabt
chashme ki tarah rahti hain jari mudam ye
aankhon ko ho gaya hai jo aab-e-rawan se rabt
be-rabtiyon ne 'qadr' miTai jo rabt ki
hai gosht ko bhi apne na ab ustuKHwan se rabt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.