tera KHayal jaan ke barabar laga mujhe
tera KHayal jaan ke barabar laga mujhe
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
MORE BYAkbar Ali Khan Arshi Zadah
terā ḳhayāl jaañ ke barābar lagā mujhe
tū merī zindagī hai ye akasr lagā mujhe
dariyā tire jamāl ke haiñ kitne is meñ gum
sochā to apnā dil bhī samundar lagā mujhe
luuTā jo us ne mujh ko to ābād bhī kiyā
ik shaḳhs rahzanī meñ bhī rahbar lagā mujhe
kyā baat thī ki qissa-e-farhād-e-kohkan
apnī hī dāstān-e-sarāsar lagā mujhe
aamad ne terī kar diyā ābād is tarah
ḳhud apnā pahlī baar mirā ghar lagā mujhe
aayā hai kaun merī ayādat ke vāste
kyuuñ apnā haal pahle se behtar lagā mujhe
kyā yaad aa gayā mujhe kyuuñ yaad aa gayā
ġhuncha khilā jo shāḳh pe patthar lagā mujhe
tera KHayal jaan ke barabar laga mujhe
tu meri zindagi hai ye akasr laga mujhe
dariya tere jamal ke hain kitne is mein gum
socha to apna dil bhi samundar laga mujhe
luTa jo us ne mujh ko to aabaad bhi kiya
ek shaKHs rahzani mein bhi rahbar laga mujhe
kya baat thi ki qissa-e-farhad-e-kohkan
apni hi dastan-e-sarasar laga mujhe
aamad ne teri kar diya aabaad is tarah
KHud apna pahli bar mera ghar laga mujhe
aaya hai kaun meri ayaadat ke waste
kyun apna haal pahle se behtar laga mujhe
kya yaad aa gaya mujhe kyun yaad aa gaya
ghuncha khila jo shaKH pe patthar laga mujhe
- Sukhan Mere Tumhare Darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.