tere altaf ka lutf uThate rahe
tere altāf kā lutf uThāte rahe
nuur barsā kiyā ham nahāte rahe
kaun thā vo ḳhudāyā ḳhudā kā jamāl
man hī man meñ pahelī bujhāte rahe
ye samajh kar faqīrī hī meñ hai ḳhudā
gun hamesha faqīroñ ke gaate rahe
raaz haq-āshnā kā khulā jab kabhī
bādshah tak huzūrī meñ aate rahe
ham ne sahrā meñ tanhā jalāyā diyā
phir sadā āñdhiyoñ se bachāte rahe
sabr kī justujū meñ phire dar-ba-dar
'yash' gadāgar se ye faiz paate rahe
tere altaf ka lutf uThate rahe
nur barsa kiya hum nahate rahe
kaun tha wo KHudaya KHuda ka jamal
man hi man mein paheli bujhate rahe
ye samajh kar faqiri hi mein hai KHuda
gun hamesha faqiron ke gate rahe
raaz haq-ashna ka khula jab kabhi
baadshah tak huzuri mein aate rahe
hum ne sahra mein tanha jalaya diya
phir sada aandhiyon se bachate rahe
sabr ki justuju mein phire dar-ba-dar
'yash' gadagar se ye faiz pate rahe
- Book : Shora-e-London (Pg. 178)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.