tesha-ba-kaf ko aaina-gar kah diya gaya
tesha-ba-kaf ko ā.ina-gar kah diyā gayā
jo aib thā use bhī hunar kah diyā gayā
saaya hai pyaar kā na mohabbat kī dhuup hai
dīvār ke hisār ko ghar kah diyā gayā
in ke har ek goshe meñ sadiyāñ muqīm haiñ
TuuTī imāratoñ ko khañDar kah diyā gayā
ḳhuddārī-e-anā hai na pindār-e-zīst hai
shānoñ ke saare bojh ko sar kah diyā gayā
āñgan meñ har makāñ ke añdheroñ kā raaj hai
mahloñ kī raushnī ko sahar kah diyā gayā
kuchh ḳhauf-e-jāñ hai aur na kuchh fikr-e-hijr-e-yār
ḳhush-gāmiyoñ ko ranj-e-safar kah diyā gayā
hairat daroġh maslahat-āmez par ho kyā
be-barg jhāḌiyoñ ko shajar kah diyā gayā
dekhā kahāñ hai aag ke dariyāoñ kā safar
jugnū uḌe to raqs-e-sharar kah diyā gayā
kuchh ehtirām-o-husn-e-aqīdat ke josh meñ
har naqsh āb-e-naqsh-e-hajar kah diyā gayā
khul jā.egā bharam tirī mīzān-e-adl kā
do ek harf-e-jurm agar kah diyā gayā
nā-āshnā-e-naqsh-e-kaf-e-pā-e-ām hai
vo rāsta bhī rāhguzar kah diyā gayā
yuuñ ḳhush haiñ jaise vāqi.atan ho ga.e ḳhudā
majbūriyoñ ke zer-e-asar kah diyā gayā
'anjum' yahāñ tak aane meñ kyā kyā guzar ga.ī
mohr-e-sar-e-mizha bhī guhar kah diyā gayā
tesha-ba-kaf ko aaina-gar kah diya gaya
jo aib tha use bhi hunar kah diya gaya
saya hai pyar ka na mohabbat ki dhup hai
diwar ke hisar ko ghar kah diya gaya
in ke har ek goshe mein sadiyan muqim hain
TuTi imaraton ko khanDar kah diya gaya
KHuddari-e-ana hai na pindar-e-zist hai
shanon ke sare bojh ko sar kah diya gaya
aangan mein har makan ke andheron ka raj hai
mahlon ki raushni ko sahar kah diya gaya
kuchh KHauf-e-jaan hai aur na kuchh fikr-e-hijr-e-yar
KHush-gamiyon ko ranj-e-safar kah diya gaya
hairat darogh maslahat-amez par ho kya
be-barg jhaDiyon ko shajar kah diya gaya
dekha kahan hai aag ke dariyaon ka safar
jugnu uDe to raqs-e-sharar kah diya gaya
kuchh ehtiram-o-husn-e-aqidat ke josh mein
har naqsh aab-e-naqsh-e-hajar kah diya gaya
khul jaega bharam teri mizan-e-adl ka
do ek harf-e-jurm agar kah diya gaya
na-ashna-e-naqsh-e-kaf-e-pa-e-am hai
wo rasta bhi rahguzar kah diya gaya
yun KHush hain jaise waqiatan ho gae KHuda
majburiyon ke zer-e-asar kah diya gaya
'anjum' yahan tak aane mein kya kya guzar gai
mohr-e-sar-e-mizha bhi guhar kah diya gaya
- Book : Libas-e-zakhm (Pg. 99)
- Author : Badruddin Ahmed Khan
- Publication : Anjum Irfani (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.