tha jo ek kafir musalman ho gaya
thā jo ik kāfir musalmāñ ho gayā
pal meñ vīrāna gulistāñ ho gayā
chhup ke pī thī kal jahāñ pe shaiḳh ne
us jagah qaa.em ḳhumistāñ ho gayā
chāra-gar kī ab nahīñ hājat mujhe
dard hī ḳhud baḌh ke darmāñ ho gayā
mujh pe koī ho gayā hai mehrbāñ
qatl kā ab apne sāmāñ ho gayā
hai taġhāful hī kā tere faiz kuchh
rafta rafta maiñ ġhazal-ḳhvāñ ho gayā
mujh ko is mahfil meñ jaanā hī na thā
dil fidā-e-rū-e-ḳhūbāñ ho gayā
bevafā se ishq kā anjām hai
ye jo 'ḳhushtar' ḳhūn-e-armāñ ho gayā
tha jo ek kafir musalman ho gaya
pal mein virana gulistan ho gaya
chhup ke pi thi kal jahan pe shaiKH ne
us jagah qaem KHumistan ho gaya
chaara-gar ki ab nahin hajat mujhe
dard hi KHud baDh ke darman ho gaya
mujh pe koi ho gaya hai mehrban
qatl ka ab apne saman ho gaya
hai taghaful hi ka tere faiz kuchh
rafta rafta main ghazal-KHwan ho gaya
mujh ko is mahfil mein jaana hi na tha
dil fida-e-ru-e-KHuban ho gaya
bewafa se ishq ka anjam hai
ye jo 'KHushtar' KHun-e-arman ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.