Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thake huon ko jo manzil kaThin ziyaada hui

Naseem Sahar

thake huon ko jo manzil kaThin ziyaada hui

Naseem Sahar

MORE BYNaseem Sahar

    thake huoñ ko jo manzil kaThin ziyāda huī

    safar azm-e-musammam lagan ziyāda huī

    udaas peḌoñ ne pattoñ bheñT de hai

    ḳhizāñ meñ raunaq-e-sahn-e-chaman ziyāda huī

    zabāñ pe habs ḳhvāhish machal machal uThī

    havā chalī to gharoñ meñ ghuTan ziyāda huī

    safar marhala-e-saḳht ġhanīmat thā

    Thahar ga.e to badan thakan ziyāda huī

    kabhī to sard lagā dopahar sūraj bhī

    kabhī badan ke liye ik karan ziyāda huī

    urūs-e-zīst pe yuuñ bhī nikhār kyā kam thā

    lahū libās kiyā to phaban ziyāda huī

    talab ke hoñToñ pe āsūdgī lafz kahāñ?

    talab vasīla-e-dār-o-rasan ziyāda huī

    'nasīm' kis ko thā tahzīb-e-fan dhyān yahāñ

    hamāre ahd meñ tash.hīr-e-fan ziyāda huī

    thake huon ko jo manzil kaThin ziyaada hui

    safar ka azm-e-musammam lagan ziyaada hui

    udas peDon ne patton ki bhenT de di hai

    KHizan mein raunaq-e-sahn-e-chaman ziyaada hui

    zaban pe habs ki KHwahish machal machal uThi

    hawa chali to gharon mein ghuTan ziyaada hui

    safar ka marhala-e-saKHt hi ghanimat tha

    Thahar gae to badan ki thakan ziyaada hui

    kabhi to sard laga dopahar ka suraj bhi

    kabhi badan ke liye ek karan ziyaada hui

    urus-e-zist pe yun bhi nikhaar kya kam tha

    lahu libas kiya to phaban ziyaada hui

    talab ke honTon pe aasudgi ka lafz kahan?

    talab wasila-e-dar-o-rasan ziyaada hui

    'nasim' kis ko tha tahzib-e-fan ka dhyan yahan

    hamare ahd mein tashhir-e-fan ziyaada hui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now