thoDi der ai saqi bazm mein ujala hai
thoḌī der ai saaqī bazm meñ ujālā hai
jaam ḳhālī hone tak chāñd Dhalne vaalā hai
sub.h kī hasīñ kirneñ naag ban ke Das leñgī
maiñ inheñ samajhtā huuñ maiñ ne un ko paalā hai
bazm-e-nau kī sham.oñ ko ye ḳhabar nahīñ hogī
kis ne zulmat-e-shab ko raushnī meñ Dhālā hai
kis ne ḳhvāb-e-insāñ ke nuqra.ī safīne ko
saḳht-tar talātum kī zad meñ bhī sambhālā hai
log hañs ke kah deñge maiñ ḳharāb-e-sahbā thā
mai-kada ye ḳhush hogā us kā bol-bālā hai
merī fikr kī ḳhushbū qaid ho nahīñ saktī
yuuñ to mere hoñToñ par maslahat kā taalā hai
merī maut ai saaqī irtiqā hai hastī kā
ik 'salām' jaatā hai ek aane vaalā hai
thoDi der ai saqi bazm mein ujala hai
jam KHali hone tak chand Dhalne wala hai
subh ki hasin kirnen nag ban ke Das lengi
main inhen samajhta hun main ne un ko pala hai
bazm-e-nau ki shamon ko ye KHabar nahin hogi
kis ne zulmat-e-shab ko raushni mein Dhaala hai
kis ne KHwab-e-insan ke nuqrai safine ko
saKHt-tar talatum ki zad mein bhi sambhaala hai
log hans ke kah denge main KHarab-e-sahba tha
mai-kada ye KHush hoga us ka bol-baala hai
meri fikr ki KHushbu qaid ho nahin sakti
yun to mere honTon par maslahat ka tala hai
meri maut ai saqi irtiqa hai hasti ka
ek 'salam' jata hai ek aane wala hai
- Book : Intekhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.